chand tare nihaaro zara der ko
chāñd taare nihāro zarā der ko
naam merā pukāro zarā der ko
rū-barū ho hī jaa.eñ haqīqat se sab
āsmāñ tum utāro zarā der ko
āj-kal yaad bhī koī kartā nahīñ
jaan se ham ko maaro zarā der ko
hārte hārte thak gayā huuñ maiñ ab
ham se tum bhī to haaro zarā der ko
merī mehnat kā phal kab milegā mujhe
kunDlī to vichāro zarā der ko
chand tare nihaaro zara der ko
nam mera pukaro zara der ko
ru-baru ho hi jaen haqiqat se sab
aasman tum utaro zara der ko
aaj-kal yaad bhi koi karta nahin
jaan se hum ko maro zara der ko
haarte haarte thak gaya hun main ab
hum se tum bhi to haaro zara der ko
meri mehnat ka phal kab milega mujhe
kunDli to wichaaro zara der ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.