chand tare phul KHushbu sab haTa do
chāñd taare phuul ḳhushbū sab haTā do
us ke jaisā dūsrā hai to batā do
us kī ik tasvīr hai maiñ ne banā.ī
merā ye dil khol ke us ko dikhā do
duur se mat dekhnā tum ye tamāsha
aag jo dekho kahīñ bhī to bujhā do
maiñ karūñgā har duā us ke liye hī
tum mujhe zahrāb ye chāhe pilā do
maiñ ne us ko jo likhe the bārhā sab
raaz rahne do vo saare ḳhat jalā do
us ko to nafrat hai phūloñ kī mahak se
merī mayyat par jo bikhre haiñ haTā do
qarz terā mujh pe 'qāsid' ye rahegā
merī ḳhaak us ke mohalle meñ uḌā do
chand tare phul KHushbu sab haTa do
us ke jaisa dusra hai to bata do
us ki ek taswir hai main ne banai
mera ye dil khol ke us ko dikha do
dur se mat dekhna tum ye tamasha
aag jo dekho kahin bhi to bujha do
main karunga har dua us ke liye hi
tum mujhe zahrab ye chahe pila do
main ne us ko jo likhe the barha sab
raaz rahne do wo sare KHat jala do
us ko to nafrat hai phulon ki mahak se
meri mayyat par jo bikhre hain haTa do
qarz tera mujh pe 'qasid' ye rahega
meri KHak us ke mohalle mein uDa do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.