chand tare udas rahte hain
chāñd taare udaas rahte haiñ
tere pyāre udaas rahte haiñ
māh-e-kāmil ko dekhne ke ba.ad
sab nazāre udaas rahte haiñ
dariyā bahtā hai mauj meñ apnī
aur kināre udaas rahte haiñ
maar Dālegī ye javānī bhī
be-sahāre udaas rahte haiñ
tū jo āñkhoñ meñ paḌhtā rahtā thā
vo sipāre udaas rahte haiñ
tū nahīñ hai jo shahr meñ 'rāmiz'
ġham ke maare udaas rahte haiñ
chand tare udas rahte hain
tere pyare udas rahte hain
mah-e-kaamil ko dekhne ke baad
sab nazare udas rahte hain
dariya bahta hai mauj mein apni
aur kinare udas rahte hain
mar Dalegi ye jawani bhi
be-sahaare udas rahte hain
tu jo aankhon mein paDhta rahta tha
wo sipare udas rahte hain
tu nahin hai jo shahr mein 'ramiz'
gham ke mare udas rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.