chand taron ki bhari bazm uThi jati hai
chāñd tāroñ kī bharī bazm uThī jaatī hai
ab to aa jaao hasīñ raat Dhalī jaatī hai
rafta rafta tirī har yaad miTī jaatī hai
gard sī vaqt ke chehre pe jamī jaatī hai
mere aage se haTā lo mai o miinā o subū
un se kuchh aur mirī pyaas baḌhī jaatī hai
aaj apne bhī parā.e se nazar aate haiñ
pyaar kī rasm zamāne se uThī jaatī hai
kis liye kis ke liye kis ke nazāre ke liye
chāñd tāroñ se har ik raat sajī jaatī hai
na havā.eñ haiñ muāfiq na fazā.eñ lekin
aap hī aap kalī dil kī khilī jaatī hai
laakh samjhā.e koī laakh bujhā.e phir bhī
dil se 'jāved' kahīñ dil kī lagī jaatī hai
chand taron ki bhari bazm uThi jati hai
ab to aa jao hasin raat Dhali jati hai
rafta rafta teri har yaad miTi jati hai
gard si waqt ke chehre pe jami jati hai
mere aage se haTa lo mai o mina o subu
un se kuchh aur meri pyas baDhi jati hai
aaj apne bhi parae se nazar aate hain
pyar ki rasm zamane se uThi jati hai
kis liye kis ke liye kis ke nazare ke liye
chand taron se har ek raat saji jati hai
na hawaen hain muafiq na fazaen lekin
aap hi aap kali dil ki khili jati hai
lakh samjhae koi lakh bujhae phir bhi
dil se 'jawed' kahin dil ki lagi jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.