chand taron ko ziya deta hai
chāñd tāroñ ko ziyā detā hai
mujh ko mujh se vo milā detā hai
yuuñ bhī hotā hai kabhī raat ga.e
yak-ba-yak mujh ko jagā detā hai
aañkh kholūñ to vo hañstā hai bahut
ḳhvāb dekhūñ to Darā detā hai
chhuptā phirtā hai nigāhoñ se merī
dard bhī kitnā baḌā detā hai
us se pūchhūñ jo kabhī us kā patā
apnī āvāz sunā detā hai
yuuñ guzartā hai mirī jaan se vo
phuul sahrā meñ khilā detā hai
yaad rakhtā hai har ik vaqt mujhe
vaqt aane pe bhulā detā hai
phūñk detā hai mire dard meñ ruuh
ruuh meñ dard basā detā hai
har shab-e-tār na.e ḳhvāb kī os
merī palkoñ pe sajā detā hai
aur bahut duur guzargāhoñ meñ
ek qindīl jalā detā hai
chand taron ko ziya deta hai
mujh ko mujh se wo mila deta hai
yun bhi hota hai kabhi raat gae
yak-ba-yak mujh ko jaga deta hai
aankh kholun to wo hansta hai bahut
KHwab dekhun to Dara deta hai
chhupta phirta hai nigahon se meri
dard bhi kitna baDa deta hai
us se puchhun jo kabhi us ka pata
apni aawaz suna deta hai
yun guzarta hai meri jaan se wo
phul sahra mein khila deta hai
yaad rakhta hai har ek waqt mujhe
waqt aane pe bhula deta hai
phunk deta hai mere dard mein ruh
ruh mein dard basa deta hai
har shab-e-tar nae KHwab ki os
meri palkon pe saja deta hai
aur bahut dur guzargahon mein
ek qindil jala deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.