chand to khil uTha sitaron mein
chāñd to khil uThā sitāroñ meñ
ham sulagte rahe sharāroñ meñ
dil-e-vahshat-zada kā haal na pūchh
phuul murjhā ga.e bahāroñ meñ
āñsuoñ ke charāġh raushan haiñ
dekh phir terī rahguzāroñ meñ
kā.enāt aur bhī nikhar jaa.e
rañg bhar do agar nazāroñ meñ
phuul khilte haiñ har baras un par
dafn hai kaun in mazāroñ meñ
mere saare ḳhulūs kī daulat
baañT do jā ke ġham ke māroñ meñ
maiñ to raahī huuñ terī manzil kā
aur tū gum hai chāñd-tāroñ meñ
chand to khil uTha sitaron mein
hum sulagte rahe shararon mein
dil-e-wahshat-zada ka haal na puchh
phul murjha gae bahaaron mein
aansuon ke charagh raushan hain
dekh phir teri rahguzaron mein
kaenat aur bhi nikhar jae
rang bhar do agar nazaron mein
phul khilte hain har baras un par
dafn hai kaun in mazaron mein
mere sare KHulus ki daulat
banT do ja ke gham ke maron mein
main to rahi hun teri manzil ka
aur tu gum hai chand-taron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.