chandi jaisa rang hai tera sone jaise baal
chāñdī jaisā rang hai terā sone jaise baal
ik tū hī dhanvān hai gorī baaqī sab kañgāl
har āñgan meñ aa.e tere ujle ruup kī dhuup
chhail-chhabelī raanī thoḌā ghūñghaT aur nikāl
bhar bhar nazreñ dekheñ tujh ko āte-jāte log
dekh tujhe badnām na kar de ye hirnī sī chaal
kitnī sundar naar ho koī maiñ āvāz na duuñ
tujh sā jis kā naam nahīñ hai vo jī kā janjāl
sāmne tū aa.e to dhaḌkeñ mil kar lākhoñ dil
ab jaanā dhartī par kaise aate haiñ bhauñchāl
biich meñ rañg-mahal hai terā khaa.ī chāroñ or
ham se milne kī ab gorī tū hī raah nikāl
kar sakte haiñ chaah tirī ab 'sarmad' yā 'mansūr'
mile kisī ko daar yahāñ aur khiñche kisī kī khaal
ye duniyā hai ḳhud-ġharazoñ kī lekin yaar 'qatīl'
tū ne hamārā saath diyā to jiye hazāroñ saal
chandi jaisa rang hai tera sone jaise baal
ek tu hi dhanwan hai gori baqi sab kangal
har aangan mein aae tere ujle rup ki dhup
chhail-chhabeli rani thoDa ghunghaT aur nikal
bhar bhar nazren dekhen tujh ko aate-jate log
dekh tujhe badnam na kar de ye hirni si chaal
kitni sundar nar ho koi main aawaz na dun
tujh sa jis ka nam nahin hai wo ji ka janjal
samne tu aae to dhaDken mil kar lakhon dil
ab jaana dharti par kaise aate hain bhaunchaal
bich mein rang-mahal hai tera khai chaaron or
hum se milne ki ab gori tu hi rah nikal
kar sakte hain chah teri ab 'sarmad' ya 'mansur'
mile kisi ko dar yahan aur khinche kisi ki khaal
ye duniya hai KHud-gharazon ki lekin yar 'qatil'
tu ne hamara sath diya to jiye hazaron sal
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 110)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.