chandi ki naw sone ki patwar dekh kar
chāñdī kī naav sone kī patvār dekh kar
ḳhud ko Dubone aa ga.e mañjhdār dekh kar
bas ik nigāh-e-nāz 'ajab kaam kar ga.ī
jiitā huuñ un kī āñkhoñ meñ iqrār dekh kar
ashkoñ meñ Dhal ke bah gayā kājal shab-e-firāq
vo yuuñ machal gayā mire ash'ār dekh kar
jis kī muravvatoñ kā bharosa nahīñ koī
biktā hai kaun aisā ḳharīdār dekh kar
qaa.em hai is tarah mirā 'azm-e-safar abhī
chaltā rahā huuñ vaqt kī raftār dekh kar
ai paikar-e-tilism tirī sehr-kāriyāñ
Dartā huuñ tere husn kā shahkār dekh kar
maarā huā hai aaj bhī 'mohsin' ḳhulūs kā
dil hārtā hai vo nigah-e-yār dekh kar
chandi ki naw sone ki patwar dekh kar
KHud ko Dubone aa gae manjhdar dekh kar
bas ek nigah-e-naz 'ajab kaam kar gai
jita hun un ki aankhon mein iqrar dekh kar
ashkon mein Dhal ke bah gaya kajal shab-e-firaq
wo yun machal gaya mere ash'ar dekh kar
jis ki murawwaton ka bharosa nahin koi
bikta hai kaun aisa KHaridar dekh kar
qaem hai is tarah mera 'azm-e-safar abhi
chalta raha hun waqt ki raftar dekh kar
ai paikar-e-tilism teri sehr-kariyan
Darta hun tere husn ka shahkar dekh kar
mara hua hai aaj bhi 'mohsin' KHulus ka
dil haarta hai wo nigah-e-yar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.