chandi wale, shishe wale, aankhon wale shahr mein
chāñdī vāle, shīshe vāle, āñkhoñ vaale shahr meñ
kho gayā ik shaḳhs mujh se, dekhe-bhāle shahr meñ
mandiroñ ke sehn meñ sadiyoñ purānī ghanTiyāñ
deviyoñ ke husn ke kohna havāle shahr meñ
sard rātoñ kī havā meñ uḌte pattoñ ke masīl
kaun tere shab-navardoñ ko sambhāle shahr meñ
kāñch kī shāḳhoñ pe laTke terī vahshat ke samar
terī vahshat ke samar bhī ham ne paale shahr meñ
dil ke reshoñ se ridā-e-nūr bunte miT ga.e
shab kī fasloñ meñ nahīñ āsāñ ujāle shahr meñ
chandi wale, shishe wale, aankhon wale shahr mein
kho gaya ek shaKHs mujh se, dekhe-bhaale shahr mein
mandiron ke sehn mein sadiyon purani ghanTiyan
dewiyon ke husn ke kohna hawale shahr mein
sard raaton ki hawa mein uDte patton ke masil
kaun tere shab-nawardon ko sambhaale shahr mein
kanch ki shaKHon pe laTke teri wahshat ke samar
teri wahshat ke samar bhi hum ne pale shahr mein
dil ke reshon se rida-e-nur bunte miT gae
shab ki faslon mein nahin aasan ujale shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.