chandni jaisa badan chand si surat uski
chāñdnī jaisā badan chāñd sī sūrat us kī
har nazar vaale ko paḌtī hai zarūrat us kī
itnī fursat se banāyā hai ḳhudā ne us ko
taktā rahtā hai har ik aa.ina sūrat us kī
ek maiñ hī to parastār nahīñ huuñ us kā
har dhaḌakte hue dil par hai hukūmat us kī
maiñ use chhoḌ ke zinda bhī nahīñ rah saktā
merī har saañs pe likkhī hai mohabbat us kī
us kī chāhat kā ḳharīdār maiñ bantā kaise
jaan de kar bhī adā hotī na qīmat us kī
chandni jaisa badan chand si surat us ki
har nazar wale ko paDti hai zarurat us ki
itni fursat se banaya hai KHuda ne us ko
takta rahta hai har ek aaina surat us ki
ek main hi to parastar nahin hun us ka
har dhaDakte hue dil par hai hukumat us ki
main use chhoD ke zinda bhi nahin rah sakta
meri har sans pe likkhi hai mohabbat us ki
us ki chahat ka KHaridar main banta kaise
jaan de kar bhi ada hoti na qimat us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.