chandni ka hai badan ya hai badan mein chandni
chāñdnī kā hai badan yā hai badan meñ chāñdnī
jab utartā hai utartī hai chaman meñ chāñdnī
tīrgī jab paañv phailā.e to phir sunñā use
bāñdh kar rakhtā hai vo apne suḳhan meñ chāñdnī
jab bhī likhtā huuñ qalam se phūTtī hai raushnī
ghol dī hai kis ne dasht-e-fikr-o-fan meñ chāñdnī
yaar kī shahr-e-butāñ meñ ik nishānī ye bhī hai
chāñd sā chehra hai us kā aur man meñ chāñdnī
raushnī ke isti.āre haiñ kahānī meñ sabhī
naam us kā hai kahānī ke matan meñ chāñdnī
vo sañvartā jā rahā hai sāmne 'tāhir-adīm'
aur barastī jā rahī hai dil ke ban meñ chāñdnī
chandni ka hai badan ya hai badan mein chandni
jab utarta hai utarti hai chaman mein chandni
tirgi jab panw phailae to phir sunna use
bandh kar rakhta hai wo apne suKHan mein chandni
jab bhi likhta hun qalam se phuTti hai raushni
ghol di hai kis ne dasht-e-fikr-o-fan mein chandni
yar ki shahr-e-butan mein ek nishani ye bhi hai
chand sa chehra hai us ka aur man mein chandni
raushni ke istiare hain kahani mein sabhi
nam us ka hai kahani ke matan mein chandni
wo sanwarta ja raha hai samne 'tahir-adim'
aur barasti ja rahi hai dil ke ban mein chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.