Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chandni mein ruKH-e-zeba nahin dekha jata

Shakeel Badayuni

chandni mein ruKH-e-zeba nahin dekha jata

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    chāñdnī meñ ruḳh-e-zebā nahīñ dekhā jaatā

    maah o ḳhurshīd ko yakjā nahīñ dekhā jaatā

    yuuñ to un āñkhoñ se kyā kyā nahīñ dekhā jaatā

    haañ magar apnā jalva nahīñ dekhā jaatā

    dīda-o-dil tabāhī mujhe manzūr magar

    un utrā huā chehra nahīñ dekhā jaatā

    zabt-e-ġham haañ vahī ashkoñ talātum ik baar

    ab to sūkhā huā dariyā nahīñ dekhā jaatā

    zindagī aa tujhe qātil ke havāle kar duuñ

    mujh se ab ḳhūn-e-tamannā nahīñ dekhā jaatā

    ab to jhūTī bhī tasallī ba-sar-o-chashm qubūl

    dil rah rah ke taḌapnā nahīñ dekhā jaatā

    chandni mein ruKH-e-zeba nahin dekha jata

    mah o KHurshid ko yakja nahin dekha jata

    yun to un aankhon se kya kya nahin dekha jata

    han magar apna hi jalwa nahin dekha jata

    dida-o-dil ki tabahi mujhe manzur magar

    un ka utra hua chehra nahin dekha jata

    zabt-e-gham han wahi ashkon ka talatum ek bar

    ab to sukha hua dariya nahin dekha jata

    zindagi aa tujhe qatil ke hawale kar dun

    mujh se ab KHun-e-tamanna nahin dekha jata

    ab to jhuTi bhi tasalli ba-sar-o-chashm qubul

    dil ka rah rah ke taDapna nahin dekha jata

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    chandni mein ruKH-e-zeba nahin dekha jata Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now