chandni raat hai dua kije
chāñdnī raat hai duā kiije
ek dar raushnī kā vā kiije
ham ne maanā ki bevafā hai bahut
zindagī se magar vafā kiije
guftugū ek mas.ala Thahrī
ab ishāroñ pe iktifā kiije
vo samajhte nahīñ hamārī baat
kyā na kiije huzūr kyā kiije
muntazir aañkh DhūñDhtī hai tumheñ
baam par ik diyā dharā kiije
phir sukūñ kī udaas tanhā.ī
phir na.e ġham se mashvara kiije
chandni raat hai dua kije
ek dar raushni ka wa kije
hum ne mana ki bewafa hai bahut
zindagi se magar wafa kije
guftugu ek masala Thahri
ab ishaaron pe iktifa kije
wo samajhte nahin hamari baat
kya na kije huzur kya kije
muntazir aankh DhunDhti hai tumhein
baam par ek diya dhara kije
phir sukun ki udas tanhai
phir nae gham se mashwara kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.