chandni raat hai taron ka jahan hai ai dost
chāñdnī raat hai tāroñ kā jahāñ hai ai dost
zindagī sāhil-e-dariyā pe ravāñ hai ai dost
ashk-shoī ke liye ab bhī haiñ dāman larzāñ
zindagī aaj bhī ik ḳhvāb-e-girāñ hai ai dost
ab bhī māyūs haiñ vābasta-e-taqdīr haiñ dil
ab bhī uThtā huā siine se dhuāñ hai ai dost
kitne be-rang se ḳhākoñ meñ lahū bhartī huuñ
dil kī dhaḌkan se mirā rishta-e-jāñ hai ai dost
dil ke dāġhoñ hī se taz.īn-e-gulistāñ kī hai
qābil-e-dīd bahāroñ kā samāñ hai ai dost
jabr kyā chiiz hai be-dād kī qīmat kyā hai
zehn āzād hai ehsān javāñ hai ai dost
dasht to dasht thā gulshan meñ bhī vahshat sī hai
kārvāñ kaun sī manzil meñ ravāñ hai ai dost
ye nayā saal hai nikhrī huī fikroñ kā amiiñ
yahī sarmāya yahī ganj-e-garāñ hai ai dost
chandni raat hai taron ka jahan hai ai dost
zindagi sahil-e-dariya pe rawan hai ai dost
ashk-shoi ke liye ab bhi hain daman larzan
zindagi aaj bhi ek KHwab-e-giran hai ai dost
ab bhi mayus hain wabasta-e-taqdir hain dil
ab bhi uThta hua sine se dhuan hai ai dost
kitne be-rang se KHakon mein lahu bharti hun
dil ki dhaDkan se mera rishta-e-jaan hai ai dost
dil ke daghon hi se tazin-e-gulistan ki hai
qabil-e-did bahaaron ka saman hai ai dost
jabr kya chiz hai be-dad ki qimat kya hai
zehn aazad hai ehsan jawan hai ai dost
dasht to dasht tha gulshan mein bhi wahshat si hai
karwan kaun si manzil mein rawan hai ai dost
ye naya sal hai nikhri hui fikron ka amin
yahi sarmaya yahi ganj-e-garan hai ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.