chandni-raat mein bulaun tujhe
chāñdnī-rāt meñ bulā.ūñ tujhe
dhaḌkaneñ dil kī maiñ sunā.ūñ tujhe
tere pahlū meñ rakh ki dil apnā
chāñd-rātoñ meñ gungunā.ūñ tujhe
kuchh kahe an-kahe savāl karūñ
aur yuuñ phir se āzmā.ūñ tujhe
apnī hastī ko bhuul saktī huuñ
kaise mumkin hai bhuul jā.ūñ tujhe
āñsuoñ kī tapish meñ jaltī huuñ
kaash is meñ kabhī jalā.ūñ tujhe
chandni-raat mein bulaun tujhe
dhaDkanen dil ki main sunaun tujhe
tere pahlu mein rakh ki dil apna
chand-raaton mein gungunaun tujhe
kuchh kahe an-kahe sawal karun
aur yun phir se aazmaun tujhe
apni hasti ko bhul sakti hun
kaise mumkin hai bhul jaun tujhe
aansuon ki tapish mein jalti hun
kash is mein kabhi jalaun tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.