chandni raat mein dariya ka kinara hota
chāñdnī raat meñ dariyā kā kinārā hotā
saath tum hote to kyā ḳhuub nazārā hotā
be-dilī se to mohabbat kā tasavvur hī nahīñ
dil kī tum qadr jo karte to tumhārā hotā
mushkileñ saarī tirī pal meñ hī āsāñ hotīñ
dil se ik baar ḳhudā ko jo pukārā hotā
rab jo kun kah de to phir kyā nahīñ mumkin yaarā
tum mire hote agar us kā ishārā hotā
chandni raat mein dariya ka kinara hota
sath tum hote to kya KHub nazara hota
be-dili se to mohabbat ka tasawwur hi nahin
dil ki tum qadr jo karte to tumhaara hota
mushkilen sari teri pal mein hi aasan hotin
dil se ek bar KHuda ko jo pukara hota
rab jo kun kah de to phir kya nahin mumkin yara
tum mere hote agar us ka ishaara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.