chandni raat mein har dard sanwar jata hai
chāñdnī raat meñ har dard sañvar jaatā hai
jaane kyā kyā sar-e-ehsās bikhar jaatā hai
dekhte ham bhī haiñ kuchh ḳhvāb magar haa.e re dil
har na.e ḳhvāb kī ta.abīr se Dar jaatā hai
maut kā vaqt muayyan hai to phir baat hai kyā
kaun hai mujh meñ jo har saañs pe mar jaatā hai
dil meñ gaḌ jaatī hai jab sā.at-e-māzī kī salīb
vaqt ruk jaatā hai insān guzar jaatā hai
chandni raat mein har dard sanwar jata hai
jaane kya kya sar-e-ehsas bikhar jata hai
dekhte hum bhi hain kuchh KHwab magar hae re dil
har nae KHwab ki tabir se Dar jata hai
maut ka waqt muayyan hai to phir baat hai kya
kaun hai mujh mein jo har sans pe mar jata hai
dil mein gaD jati hai jab saat-e-mazi ki salib
waqt ruk jata hai insan guzar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.