chandni raat sogwar nahin
chāñdnī raat sogvār nahīñ
jaise ab un kā intizār nahīñ
apnī hī aarzū meñ martā huuñ
ab kisī kā bhī intizār nahīñ
ab junūñ hai mirā tamām hī hosh
ab garebān taar taar nahīñ
dil kī be-kaifiyoñ ko kyā kiije
fasl-e-gul hai magar bahār nahīñ
ishq vo nashsha hai ki jis meñ 'rāz'
kaif-o-mastī to hai ḳhumār nahīñ
chandni raat sogwar nahin
jaise ab un ka intizar nahin
apni hi aarzu mein marta hun
ab kisi ka bhi intizar nahin
ab junun hai mera tamam hi hosh
ab gareban tar tar nahin
dil ki be-kaifiyon ko kya kije
fasl-e-gul hai magar bahaar nahin
ishq wo nashsha hai ki jis mein 'raaz'
kaif-o-masti to hai KHumar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.