chandni shab hai sitaron ki ridaen si lo
chāñdnī shab hai sitāroñ kī ridā.eñ sī lo
iid aa.ī hai bahāroñ kī ridā.eñ sī lo
chashm-e-sāqī se kaho tishna umīdoñ ke liye
tum bhī kuchh bāda-gusāroñ kī ridā.eñ sī lo
har baras sozan-e-taqdīr chalā kartī hai
ab to kuchh sīna-fagāroñ kī ridā.eñ sī lo
log kahte haiñ taqaddus ke subū TūTeñge
jhūmtī rāh-guzāroñ kī ridā.eñ sī lo
qulzum-e-ḳhuld se 'sāġhar' kī sadā aatī hai
apne be-tāb kināroñ kī ridā.eñ sī lo
chandni shab hai sitaron ki ridaen si lo
id aai hai bahaaron ki ridaen si lo
chashm-e-saqi se kaho tishna umidon ke liye
tum bhi kuchh baada-gusaron ki ridaen si lo
har baras sozan-e-taqdir chala karti hai
ab to kuchh sina-fagaron ki ridaen si lo
log kahte hain taqaddus ke subu TuTenge
jhumti rah-guzaron ki ridaen si lo
qulzum-e-KHuld se 'saghar' ki sada aati hai
apne be-tab kinaron ki ridaen si lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.