chandni sher ki khuli har su
chāñdnī sher kī khulī har sū
hans ke kahtī hai shā.era hai tū
tham gayā hai safar sitāre kā
kis ne chūmā hai raat kā aañsū
utre āñchal pe āsmāñ se diye
zer-e-lab muskurā.ī hai ḳhushbū
kaun mahkā hai ās-pās mire
khul ga.e mere sher ke gesū
aa gayā hai savāl ulfat kā
likh rahī huuñ kamāl kā jaadū
chandni sher ki khuli har su
hans ke kahti hai shaera hai tu
tham gaya hai safar sitare ka
kis ne chuma hai raat ka aansu
utre aanchal pe aasman se diye
zer-e-lab muskurai hai KHushbu
kaun mahka hai aas-pas mere
khul gae mere sher ke gesu
aa gaya hai sawal ulfat ka
likh rahi hun kamal ka jadu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.