chaar din ki bahaar hai duniya
chaar din kī bahār hai duniyā
maut kā intizār hai duniyā
tū kahāñ merī baat samjhegā
tere sar par savār hai duniyā
zindagī jis pe chaltī rahtī hai
aise ḳhanjar kī dhaar hai duniyā
jiit hogī tumhārī nazroñ meñ
merī nazroñ meñ haar hai duniyā
mai-kade jā ke dekhiye sāhab
kis qadar dīn-dār hai duniyā
ye tujhe kyā qarār baḳhshegī
jab ki ḳhud be-qarār hai duniyā
kaise kaise ko khā ga.ī hai tū
kuchh tirā e'tibār hai duniyā
kyoñ chalātā hai raat din us ko
kyā koī kārobār hai duniyā
chaar din ki bahaar hai duniya
maut ka intizar hai duniya
tu kahan meri baat samjhega
tere sar par sawar hai duniya
zindagi jis pe chalti rahti hai
aise KHanjar ki dhaar hai duniya
jit hogi tumhaari nazron mein
meri nazron mein haar hai duniya
mai-kade ja ke dekhiye sahab
kis qadar din-dar hai duniya
ye tujhe kya qarar baKHshegi
jab ki KHud be-qarar hai duniya
kaise kaise ko kha gai hai tu
kuchh tera e'tibar hai duniya
kyon chalata hai raat din us ko
kya koi karobar hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.