chaar din ki ye zindagani mein
chaar din kī ye zindagānī meñ
moḌ kitne haiñ ik kahānī meñ
raaz jitne chhupā.e rakkhe the
bah ga.e aañkh ke vo paanī meñ
haa.e allāh kyā nazāre haiñ
kaun aaya hai rājdhānī meñ
ishq un ko bhī āzmā.egā
vo jo baiThe haiñ ḳhud-gumānī meñ
merā gulshan ujaḌ gayā mālik
bāġhbānoñ kī bāġhbānī meñ
chaar din ki ye zindagani mein
moD kitne hain ek kahani mein
raaz jitne chhupae rakkhe the
bah gae aankh ke wo pani mein
hae allah kya nazare hain
kaun aaya hai rajdhani mein
ishq un ko bhi aazmaega
wo jo baiThe hain KHud-gumani mein
mera gulshan ujaD gaya malik
baghbanon ki baghbani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.