chaar su KHauf-e-tirgi hai bahut
chaar sū ḳhauf-e-tīrgī hai bahut
shab ko ehsās-e-bartarī hai bahut
hukm-e-tāza hai un ko gul kar do
jin charāġhoñ se raushnī hai bahut
naḳhl-e-jāñ phir jhulas na jaa.e kahīñ
dhuup ehsās kī kaḌī hai bahut
jām-e-mai ho ki sāġhar-e-zahrāb
kuchh bhī aa.e ki tishnagī hai bahut
dard kā chāñd hī nikal aa.e
dil ke sahrā meñ tīrgī hai bahut
kam na thā jahl kā azaab 'shamīm'
aur ab karb-e-āgahī hai bahut
chaar su KHauf-e-tirgi hai bahut
shab ko ehsas-e-bartari hai bahut
hukm-e-taza hai un ko gul kar do
jin charaghon se raushni hai bahut
naKHl-e-jaan phir jhulas na jae kahin
dhup ehsas ki kaDi hai bahut
jam-e-mai ho ki saghar-e-zahrab
kuchh bhi aae ki tishnagi hai bahut
dard ka chand hi nikal aae
dil ke sahra mein tirgi hai bahut
kam na tha jahl ka azab 'shamim'
aur ab karb-e-agahi hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.