chaaragar teri tawajjoh mujhe dar-kar nahin

chaaragar teri tawajjoh mujhe dar-kar nahin
Shakeel Ibn-e-Sharaf
MORE BYShakeel Ibn-e-Sharaf
chārāgar terī tavajjoh mujhe dar-kār nahīñ
kārgar jis pe davā ho ye vo āzār nahīñ
vasl ke zikr pe kahtā hai tū har baar nahīñ
phir bhī dīvāna tirā jaan se bezār nahīñ
vā'iz-e-tang-nazar mujh ko haqārat se na dekh
huuñ gunahgār magar terā gunahgār nahīñ
maiñ yahāñ vaqt-guzārī ke liye aaya huuñ
terī duniyā se mujhe koī sarokār nahīñ
maiñ ne sach kah ke dukhāyā hai bahut dil un kā
be-sabab log mire dar-pa.e-āzār nahīñ
chaaragar teri tawajjoh mujhe dar-kar nahin
kargar jis pe dawa ho ye wo aazar nahin
wasl ke zikr pe kahta hai tu har bar nahin
phir bhi diwana tera jaan se bezar nahin
wa'iz-e-tang-nazar mujh ko haqarat se na dekh
hun gunahgar magar tera gunahgar nahin
main yahan waqt-guzari ke liye aaya hun
teri duniya se mujhe koi sarokar nahin
main ne sach kah ke dukhaya hai bahut dil un ka
be-sabab log mere dar-pae-azar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.