Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaarasaz-e-zaKHm-e-dil waqt-e-rafu rone laga

Munshi Amirullah Tasleem

chaarasaz-e-zaKHm-e-dil waqt-e-rafu rone laga

Munshi Amirullah Tasleem

MORE BYMunshi Amirullah Tasleem

    chārasāz-e-zaḳhm-e-dil vaqt-e-rafū rone lagā

    bhar aayā dīda-e-sozan lahū rone lagā

    bas ki thī rone aadat vasl meñ bhī yaar se

    kah ke apnā aap hāl-e-ārzū rone lagā

    ḳhanda-e-zaḳhm-e-jigar ne dil dukhāyā aur bhī

    jis ghaḌī TuuTā koī tār-e-rafū rone lagā

    sadma-e-be-rahmi-e-sāqī na uTThā bazm meñ

    bhar aayā dekh kar ḳhālī subū rone lagā

    thā adam meñ khīñch laayā āb-o-dāna jab yahāñ

    dekh kar bechārgī se chaar rone lagā

    aa gayā kaabe meñ jab mehrāb-e-abrū ḳhayāl

    baiTh kar 'taslīm'-e-ḳhasta qibla-rū rone lagā

    chaarasaz-e-zaKHm-e-dil waqt-e-rafu rone laga

    ji bhar aaya dida-e-sozan lahu rone laga

    bas ki thi rone ki aadat wasl mein bhi yar se

    kah ke apna aap haal-e-arzu rone laga

    KHanda-e-zaKHm-e-jigar ne dil dukhaya aur bhi

    jis ghaDi TuTa koi tar-e-rafu rone laga

    sadma-e-be-rahmi-e-saqi na uTTha bazm mein

    ji bhar aaya dekh kar KHali subu rone laga

    tha adam mein khinch laya aab-o-dana jab yahan

    dekh kar bechaargi se chaar su rone laga

    aa gaya kabe mein jab mehrab-e-abru ka KHayal

    baiTh kar 'taslim'-e-KHasta qibla-ru rone laga

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    chaarasaz-e-zaKHm-e-dil waqt-e-rafu rone laga Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now