chaarasazi ka talabgar lage hai wo bhi
chārasāzī kā talabgār lage hai vo bhī
ik masīhā hai so bīmār lage hai vo bhī
jis kī ḳhātir lī zamāne kī adāvat ham ne
ab zamāne kā taraf-dār lage hai vo bhī
ab rag-e-jāñ ko bachā.ūñ to bachā.ūñ kaise
saañs chaltī hai to talvār lage hai vo bhī
kis tarah manzileñ tai hoñgī badan kī ai dil
us se miltā huuñ to dīvār lage hai vo bhī
be-muġhīlāñ sahī tapte hue sahrā kā safar
paañv rakhtā huuñ magar ḳhaar lage hai vo bhī
chaarasazi ka talabgar lage hai wo bhi
ek masiha hai so bimar lage hai wo bhi
jis ki KHatir li zamane ki adawat hum ne
ab zamane ka taraf-dar lage hai wo bhi
ab rag-e-jaan ko bachaun to bachaun kaise
sans chalti hai to talwar lage hai wo bhi
kis tarah manzilen tai hongi badan ki ai dil
us se milta hun to diwar lage hai wo bhi
be-mughilan sahi tapte hue sahra ka safar
panw rakhta hun magar KHar lage hai wo bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.