chaaron jaanib mausam-e-gul hai pagal yaaden tanhai
chaaron jaanib mausam-e-gul hai pagal yaaden tanhai
Farrukh Zohra Gilani
MORE BYFarrukh Zohra Gilani
chāroñ jānib mausam-e-gul hai pāgal yādeñ tanhā.ī
man sāgar meñ jaag uThī haiñ guzrī rāteñ tanhā.ī
maiñ sochoñ kī jhiil kināre aas jazīre dekh rahī huuñ
sarkash maujeñ harf gharauñde merī ġhazleñ tanhā.ī
tū utre zaḳhmī sūraj kī kirnoñ ko tasvīr kare
maiñ lafzoñ meñ bāñdh rahī huuñ saarī shāmeñ tanhā.ī
dast-e-sabā ne phir se mere dāman meñ mahkā dī haiñ
chaTkī kaliyāñ bhīnī ḳhushbū terī bāteñ tanhā.ī
ab bhī terī yādoñ meñ misl-e-charāġhāñ raushan raushan
saath nibhāne kī vo terī saarī qasmeñ tanhā.ī
shāyad 'farruḳh' in chiḌiyoñ kī qismat meñ hī likhā hai
būḌhā bargad Dhalte saa.e phailī shāḳheñ tanhā.ī
chaaron jaanib mausam-e-gul hai pagal yaaden tanhai
man sagar mein jag uThi hain guzri raaten tanhai
main sochon ki jhil kinare aas jazire dekh rahi hun
sarkash maujen harf gharaunde meri ghazlen tanhai
tu utre zaKHmi suraj ki kirnon ko taswir kare
main lafzon mein bandh rahi hun sari shamen tanhai
dast-e-saba ne phir se mere daman mein mahka di hain
chaTki kaliyan bhini KHushbu teri baaten tanhai
ab bhi teri yaadon mein misl-e-charaghan raushan raushan
sath nibhane ki wo teri sari qasmen tanhai
shayad 'farruKH' in chiDiyon ki qismat mein hi likha hai
buDha bargad Dhalte sae phaili shaKHen tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.