chaaron or samundar hai
chāroñ or samundar hai
machhlī honā behtar hai
kuchh to bāhar hai kashtī
kuchh paanī ke andar hai
niiñd kā rasta chhoTā hai
jis meñ ḳhvāb kī Thokar hai
haiñ mahfūz alfāz jahāñ
sannāTā vo locker hai
āñkhoñ meñ chubhtī hai niiñd
merī ghaat meñ bistar hai
maiñ bhī to ik raat hī huuñ
chāñd mire bhī andar hai
chaaron or samundar hai
machhli hona behtar hai
kuchh to bahar hai kashti
kuchh pani ke andar hai
nind ka rasta chhoTa hai
jis mein KHwab ki Thokar hai
hain mahfuz alfaz jahan
sannaTa wo locker hai
aankhon mein chubhti hai nind
meri ghat mein bistar hai
main bhi to ek raat hi hun
chand mere bhi andar hai
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 25)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.