chaDhe hue hain jo dariya utar bhi jaenge
chaḌhe hue haiñ jo dariyā utar bhī jā.eñge
mire baġhair tire din guzar bhī jā.eñge
uḌā rahī haiñ havā.eñ parā.e sehnoñ meñ
Dhalegī raat to ham apne ghar bhī jā.eñge
jo ro rahī hai yahī aañkh hañs rahī hogī
tire dayār meñ bār-e-digar bhī jā.eñge
talāsh ḳhud ko kahīñ ḳhāk-o-āb meñ kar leñ
tumhāre khoj meñ phir dar-ba-dar bhī jā.eñge
hamesha ek sī hālat pe kuchh nahīñ rahtā
jo aa.e haiñ to kaḌe din guzar bhī jā.eñge
ye phuul phuul kisī ḳhushnumā kī tahrīreñ
ye lafz ma.anoñ se apne mukar bhī jā.eñge
chaDhe hue hain jo dariya utar bhi jaenge
mere baghair tere din guzar bhi jaenge
uDa rahi hain hawaen parae sehnon mein
Dhalegi raat to hum apne ghar bhi jaenge
jo ro rahi hai yahi aankh hans rahi hogi
tere dayar mein bar-e-digar bhi jaenge
talash KHud ko kahin KHak-o-ab mein kar len
tumhaare khoj mein phir dar-ba-dar bhi jaenge
hamesha ek si haalat pe kuchh nahin rahta
jo aae hain to kaDe din guzar bhi jaenge
ye phul phul kisi KHushnuma ki tahriren
ye lafz manon se apne mukar bhi jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.