chain kab aata hai ghar mein tere diwane ko
chain kab aata hai ghar mein tere diwane ko
Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali
MORE BYSyed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali
chain kab aatā hai ghar meñ tire dīvāne ko
phir liye jaatī hai vahshat mujhe vīrāne ko
tum miTāte ho jo mujh ko to samajh lo ye bhī
sham' rotī hai bahut maar ke parvāne ko
hai agar aish kisī ko to balā se apnī
ham to paidā hue haiñ ranj-o-alam khāne ko
ḳhud bhī suulī pe chaḌhā yaar ko rusvā bhī kiyā
kyā kahe ab koī mansūr se dīvāne ko
bū haqīqat kī na ho to gul-e-mazmūñ kyā hai
phuul kāġhaz kā hai ik dekhne dikhlāne ko
naam ko bhī na kisī aañkh se aañsū niklā
sham' mahfil meñ jalātī rahī parvāne ko
koī hamdard nahīñ apnā zamāne meñ 'zafar'
aazmā dekhā hai har apne ko begāne ko
chain kab aata hai ghar mein tere diwane ko
phir liye jati hai wahshat mujhe virane ko
tum miTate ho jo mujh ko to samajh lo ye bhi
sham' roti hai bahut mar ke parwane ko
hai agar aish kisi ko to bala se apni
hum to paida hue hain ranj-o-alam khane ko
KHud bhi suli pe chaDha yar ko ruswa bhi kiya
kya kahe ab koi mansur se diwane ko
bu haqiqat ki na ho to gul-e-mazmun kya hai
phul kaghaz ka hai ek dekhne dikhlane ko
nam ko bhi na kisi aankh se aansu nikla
sham' mahfil mein jalati rahi parwane ko
koi hamdard nahin apna zamane mein 'zafar'
aazma dekha hai har apne ko begane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.