chakkhi hai lamhe lamhe ki humne miThas bhi
chakkhi hai lamhe lamhe ki humne miThas bhi
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
chakkhī hai lamhe lamhe kī ham ne miThās bhī
ye aur baat hai ki rahe haiñ udaas bhī
in ajnabī laboñ pe tabassum kī ik lakīr
lagtā hai aisī shai thī kabhī apne paas bhī
mansūb hoñgī aur bhī us se hikāyateñ
ye zaḳhm-e-dil ki aaj hai jo be-libās bhī
phailā huā thā sadiyoñ talak us kā silsila
dariyā ke saath saath baḌhī apnī pyaas bhī
'nāsir' ko ro rahā huuñ ki thā merā ham-suḳhan
go us se ho sakā na kabhī rū-shanās bhī
chakkhi hai lamhe lamhe ki hum ne miThas bhi
ye aur baat hai ki rahe hain udas bhi
in ajnabi labon pe tabassum ki ek lakir
lagta hai aisi shai thi kabhi apne pas bhi
mansub hongi aur bhi us se hikayaten
ye zaKHm-e-dil ki aaj hai jo be-libas bhi
phaila hua tha sadiyon talak us ka silsila
dariya ke sath sath baDhi apni pyas bhi
'nasir' ko ro raha hun ki tha mera ham-suKHan
go us se ho saka na kabhi ru-shanas bhi
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 87)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.