chal mere sath zara ho ke najaf aate hain
chal mire saath zarā ho ke najaf aate haiñ
ye vo bastī hai jahāñ ahl-e-sharaf aate haiñ
terī āvāz pe dauḌe hue ā.eñge ham
jaise azaan pe masjid kī taraf aate haiñ
tū zarā taal baḌhā kar koī misra.a to uThā
kis tarah dekhnā ham dast-ba-daf aate haiñ
terī āñkheñ haiñ chhalakte hue jāmoñ kī sharāb
tū bulā.e to ba-sad-shauq-o-shaġhaf aate haiñ
tujh ko paane ke liye ham ne chunā hai sahrā
dekh dīvāne haiñ aur sū-e-hadaf aate haiñ
tez lahje meñ koī tujh se muḳhātib ho to ham
aañkh meñ ḳhuun bhare teġh-ba-kaf aate haiñ
chal mere sath zara ho ke najaf aate hain
ye wo basti hai jahan ahl-e-sharaf aate hain
teri aawaz pe dauDe hue aaenge hum
jaise azan pe masjid ki taraf aate hain
tu zara tal baDha kar koi misra to uTha
kis tarah dekhna hum dast-ba-daf aate hain
teri aankhen hain chhalakte hue jamon ki sharab
tu bulae to ba-sad-shauq-o-shaghaf aate hain
tujh ko pane ke liye hum ne chuna hai sahra
dekh diwane hain aur su-e-hadaf aate hain
tez lahje mein koi tujh se muKHatib ho to hum
aankh mein KHun bhare tegh-ba-kaf aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.