chal paDe hum dasht-e-be-saya bhi jangal ho gaya
chal paḌe ham dasht-e-be-sāya bhī jangal ho gayā
ham-safar jab mil ga.e jangal meñ mañgal ho gayā
maiñ thā bāġhī ḳhushk qatra bādaloñ ke des kā
sang-dil lamhoñ se Takrāyā to jal-thal ho gayā
haañ utar aatī haiñ is vaadī meñ pariyāñ chāñd kī
kahte haiñ ik ajnabī sayyāh pāgal ho gayā
ras bharī barsāt meñ khilne lagā dhartī kā ruup
jism kā ākāsh us ḳhushbū se bekal ho gayā
duur khiskī jā rahī hai paañv ke nīche zamīñ
sar ke uupar āsmāñ āñkhoñ se ojhal ho gayā
kitne qarnoñ ne tarāshā us but-e-bedard ko
kitnī nasloñ kā lahū us jism meñ hal ho gayā
'umr bhar donoñ ko qaid-e-bāhamī kī dī sazā
vo jo iġhvā kā muqadma thā so faisal ho gayā
har nafas hai sañg-bārī dil ke kachche ghaav par
lamha lamha zindagī kā kitnā bojhal ho gayā
chal paDe hum dasht-e-be-saya bhi jangal ho gaya
ham-safar jab mil gae jangal mein mangal ho gaya
main tha baghi KHushk qatra baadalon ke des ka
sang-dil lamhon se Takraya to jal-thal ho gaya
han utar aati hain is wadi mein pariyan chand ki
kahte hain ek ajnabi sayyah pagal ho gaya
ras bhari barsat mein khilne laga dharti ka rup
jism ka aakash us KHushbu se bekal ho gaya
dur khiski ja rahi hai panw ke niche zamin
sar ke upar aasman aankhon se ojhal ho gaya
kitne qarnon ne tarasha us but-e-bedard ko
kitni naslon ka lahu us jism mein hal ho gaya
'umr bhar donon ko qaid-e-bahami ki di saza
wo jo ighwa ka muqadma tha so faisal ho gaya
har nafas hai sang-bari dil ke kachche ghaw par
lamha lamha zindagi ka kitna bojhal ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.