chal tujhe yaar ghumā laatā huuñ
āsmāñ paar ghumā laatā huuñ
vaqt muTThī meñ hai gar chāho to
pichhle advār ghumā laatā huuñ
dil tujhe maut paḌī hai kaisī
kyuuñ hai bezār ghumā laatā huuñ
ab zarā dasht ko bhī dekh aa.eñ
kar na inkār ghumā laatā huuñ
maiñ to us paar bhī jā saktā huuñ
ai mire yaar ghumā laatā huuñ
chal tujhe yar ghuma lata hun
aasman par ghuma lata hun
waqt muTThi mein hai gar chaho to
pichhle adwar ghuma lata hun
dil tujhe maut paDi hai kaisi
kyun hai bezar ghuma lata hun
ab zara dasht ko bhi dekh aaen
kar na inkar ghuma lata hun
main to us par bhi ja sakta hun
ai mere yar ghuma lata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.