chala jata hai karwan-e-nafas
chalā jaatā hai kārvān-e-nafas
na bāñg-e-darā hai na saut-e-jaras
baras kitne guzre ye kahte hue
ki kuchh kaam kar leñge ab ke baras
na vo pūchhte haiñ na kahtā huuñ maiñ
rahī jaatī hai dil kī dil meñ havas
vo hasrat-zada said maiñ hī to huuñ
hai parvāz jis kī durūn-e-havas
sitam haiñ ye 'vahshat' tirī ġhaflateñ
tujhe kaash hotā shumār-e-nafas
chala jata hai karwan-e-nafas
na bang-e-dara hai na saut-e-jaras
baras kitne guzre ye kahte hue
ki kuchh kaam kar lenge ab ke baras
na wo puchhte hain na kahta hun main
rahi jati hai dil ki dil mein hawas
wo hasrat-zada said main hi to hun
hai parwaz jis ki durun-e-hawas
sitam hain ye 'wahshat' teri ghaflaten
tujhe kash hota shumar-e-nafas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.