chala tha aasman chhune uDan se bhi gaya
chalā thā āsmāñ chhūne uḌaan se bhī gayā
parā.e meñ na rahā ḳhāndān se bhī gayā
yaqīn TuuTā to apnoñ pe e'tibār kiyā
mire ḳhayāl se vahm-o-gumān se bhī gayā
parā.e logoñ se is darja unsiyat rakkhī
ki apne logoñ ke yaksar dhiyān se bhī gayā
zarūratoñ ko ta.alluq pe fauqiyat kyā dī
ḳhudī bhī jaatī rahī mehrbān se bhī gayā
guzarte lamhoñ ko muTThī meñ qaid kar na sakā
gañvāyā vaqt bhī apne plan se bhī gayā
use ye zo.am ke sar hoñge ma.arke saare
magar ye ho na sakā apnī jaan se bhī gayā
chala tha aasman chhune uDan se bhi gaya
parae mein na raha KHandan se bhi gaya
yaqin TuTa to apnon pe e'tibar kiya
mere KHayal se wahm-o-guman se bhi gaya
parae logon se is darja unsiyat rakkhi
ki apne logon ke yaksar dhiyan se bhi gaya
zaruraton ko talluq pe fauqiyat kya di
KHudi bhi jati rahi mehrban se bhi gaya
guzarte lamhon ko muTThi mein qaid kar na saka
ganwaya waqt bhi apne plan se bhi gaya
use ye zoam ke sar honge marke sare
magar ye ho na saka apni jaan se bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.