chalā.ī saañs kī aarī
javānī kaaT dī saarī
nikālā vaqt par ġhussa
ghaḌī dīvār par maarī
ye gumbad jaisī pagḌī meñ
bañdhī hai soch darbārī
ka.ī aate haiñ jaate haiñ
ajī kaahe kī ġham-ḳhvārī
hamāre gaañv kā mausam
daraḳhtoñ kī riyā-kārī
chhupāyā hai bahut ḳhud ko
dikhā.ī hai samajhdārī
bahut hī tang hai ham par
badan kī chār-dīvārī
chalai sans ki aari
jawani kaT di sari
nikala waqt par ghussa
ghaDi diwar par mari
ye gumbad jaisi pagDi mein
bandhi hai soch darbari
kai aate hain jate hain
aji kahe ki gham-KHwari
hamare ganw ka mausam
daraKHton ki riya-kari
chhupaya hai bahut KHud ko
dikhai hai samajhdari
bahut hi tang hai hum par
badan ki chaar-diwari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.