chalan raha nahin jine ka ab zamane mein
chalan rahā nahīñ jiine kā ab zamāne meñ
lage hue haiñ sabhī zindagī banāne meñ
koī kisī ko nahīñ mārtā sar-e-maqtal
ye kaam hotā hai daftar meñ kār-ḳhāne meñ
hamāre daur meñ insāniyat kā haal hai ye
paḌī ho laash koī jaise sard-ḳhāne meñ
mizāj-e-dahr kā karnā na ahl-e-shar pe qayās
ki aise log to hote haiñ har zamāne meñ
hazāroñ saal kī ta.amīr hai ye vahm kā but
hazāroñ saal lageñge ise girāne meñ
chalan raha nahin jine ka ab zamane mein
lage hue hain sabhi zindagi banane mein
koi kisi ko nahin marta sar-e-maqtal
ye kaam hota hai daftar mein kar-KHane mein
hamare daur mein insaniyat ka haal hai ye
paDi ho lash koi jaise sard-KHane mein
mizaj-e-dahr ka karna na ahl-e-shar pe qayas
ki aise log to hote hain har zamane mein
hazaron sal ki tamir hai ye wahm ka but
hazaron sal lagenge ise girane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.