chale to rah mein chubhne lage the sannaTe
chale to raah meñ chubhne lage the sannāTe
ruke to shor sā andar sunā.ī detā hai
ye kis ne rakh dī hai daftar meñ ghar kī ḳhāmoshī
jo ghar meñ aa.eñ to daftar sunā.ī detā hai
alag sā shor jo apne hī ghar meñ sunte ho
nikal ke dekho to ghar ghar sunā.ī detā hai
mujhe vo kyuuñ mirī tanhā.iyoñ meñ miltā hai
vo kaun hai mujhe aksar sunā.ī detā hai
vo hiddateñ tire lahje kī kyā huiiñ āḳhir
tire laboñ se december sunā.ī detā hai
tamām shahr samā.at kā jabr sahtā hai
ye kaisā shor barābar sunā.ī detā hai
chale to rah mein chubhne lage the sannaTe
ruke to shor sa andar sunai deta hai
ye kis ne rakh di hai daftar mein ghar ki KHamoshi
jo ghar mein aaen to daftar sunai deta hai
alag sa shor jo apne hi ghar mein sunte ho
nikal ke dekho to ghar ghar sunai deta hai
mujhe wo kyun meri tanhaiyon mein milta hai
wo kaun hai mujhe aksar sunai deta hai
wo hiddaten tere lahje ki kya huin aaKHir
tere labon se december sunai deta hai
tamam shahr samaat ka jabr sahta hai
ye kaisa shor barabar sunai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.