Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chalega jam kisi ka na uske jam ke baad

Munawwar Lakhnavi

chalega jam kisi ka na uske jam ke baad

Munawwar Lakhnavi

MORE BYMunawwar Lakhnavi

    chalegā jaam kisī na us ke jaam ke baa'd

    piyegā kaun 'munavār' se tishna-kām ke baa'd

    jo raaz thā mirī āvārgī pe ifshā thā

    tilism ban ga.ī duniyā mire qayām ke baa'd

    kiyā hai ḳhūn-e-tamannā ne surḳh-rū kyā kyā

    tamām kaam huā arz-e-nā-tamām ke baa'd

    jo be-talab mujhe baḳhshā thā māñgne pe bhī de

    karīm buḳhl ye kaisā hai lutf-e-ām ke baa'd

    hazār haif 'munavvar' tīra-baḳhtī par

    fuzūl hai taḳhallus ye us ke naam ke baa'd

    chalega jam kisi ka na us ke jam ke ba'd

    piyega kaun 'munawar' se tishna-kaam ke ba'd

    jo raaz tha meri aawargi pe ifsha tha

    tilism ban gai duniya mere qayam ke ba'd

    kiya hai KHun-e-tamanna ne surKH-ru kya kya

    tamam kaam hua arz-e-na-tamam ke ba'd

    jo be-talab mujhe baKHsha tha mangne pe bhi de

    karim buKHl ye kaisa hai lutf-e-am ke ba'd

    hazar haif 'munawwar' ki tira-baKHti par

    fuzul sa hai taKHallus ye us ke nam ke ba'd

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now