chali hai ye kaisi hawa KHubsurat
chalī hai ye kaisī havā ḳhūbsūrat
ki dil kā ye mausam huā ḳhūbsūrat
ye duniyā banā.ī hai kyā ḳhūbsūrat
ki ḳhud hogā kitnā ḳhudā ḳhūbsūrat
ghaḌī do ghaḌī hī jalā hai diyā
haañ lekin jalā hai diyā ḳhūbsūrat
kahānī mohabbat kī kuchh bhī nahīñ
banātī hai is ko vafā ḳhūbsūrat
kisī kī taraf ye nazar uTh ga.ī
ye kis kā hai chehra nayā ḳhūbsūrat
vo aa.eñ to bīmār achchhā bhī ho
maraz ḳhūbsūrat davā ḳhūbsūrat
paḌī jo nazar chāñd par daf'atan
mire lab pe aa.ī du'ā ḳhūbsūrat
chali hai ye kaisi hawa KHubsurat
ki dil ka ye mausam hua KHubsurat
ye duniya banai hai kya KHubsurat
ki KHud hoga kitna KHuda KHubsurat
ghaDi do ghaDi hi jala hai diya
han lekin jala hai diya KHubsurat
kahani mohabbat ki kuchh bhi nahin
banati hai is ko wafa KHubsurat
kisi ki taraf ye nazar uTh gai
ye kis ka hai chehra naya KHubsurat
wo aaen to bimar achchha bhi ho
maraz KHubsurat dawa KHubsurat
paDi jo nazar chand par daf'atan
mere lab pe aai du'a KHubsurat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.