chali jo piya ki gali dhire dhire
chalī jo piyā kī galī dhīre dhīre
mirī aañkh kyuuñ nam huī dhīre dhīre
ubhartā gayā mujh meñ vo lamha lamha
maiñ tahlīl hotī ga.ī dhīre dhīre
na baisākhiyoñ kā sahārā liyā hai
maiñ paañv pe chaltī rahī dhīre dhīre
do-pahreñ makānoñ meñ phailī huī haiñ
meñ saa.e sī baḌhtī huī dhīre dhīre
mirā zabt baḌhtā chalā jā rahā hai
maiñ parchhā.īñ maañ kī banī dhīre dhīre
tirī yaad bhī jaise aarī hai koī
mire dil pe chaltī huī dhīre dhīre
havā-e-zamāna muḳhālif thī lekin
maiñ parvāz kartī rahī dhīre dhīre
chali jo piya ki gali dhire dhire
meri aankh kyun nam hui dhire dhire
ubharta gaya mujh mein wo lamha lamha
main tahlil hoti gai dhire dhire
na baisakhiyon ka sahaara liya hai
main panw pe chalti rahi dhire dhire
do-pahren makanon mein phaili hui hain
mein sae si baDhti hui dhire dhire
mera zabt baDhta chala ja raha hai
main parchhain man ki bani dhire dhire
teri yaad bhi jaise aari hai koi
mere dil pe chalti hui dhire dhire
hawa-e-zamana muKHalif thi lekin
main parwaz karti rahi dhire dhire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.