chaliye hum bimar bhi ho jaenge
chaliye ham bīmār bhī ho jā.eñge
aap phir to dekhne ko ā.eñge
ye tamāsha ḳhatm hī hotā nahīñ
is jahāñ meñ ishq naiiñ dohrā.eñge
TuuTe patte kah rahe haiñ shāḳh se
bāġhbānī ham tumheñ sikhlā.enge
aane kā va.ada kareñge pahle to
baad meñ majbūriyāñ batlā.eñge
vāpsī meñ ik burā.ī ye bhī hai
sab mirī nākāmiyāñ ginvā.eñge
chaliye hum bimar bhi ho jaenge
aap phir to dekhne ko aaenge
ye tamasha KHatm hi hota nahin
is jahan mein ishq nain dohraenge
TuTe patte kah rahe hain shaKH se
baghbani hum tumhein sikhlaenge
aane ka wada karenge pahle to
baad mein majburiyan batlaenge
wapsi mein ek burai ye bhi hai
sab meri nakaamiyan ginwaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.