chalne mein saya ham-qad-e-jaanan hai dusra
chalne meñ saaya ham-qad-e-jānāñ hai dūsrā
kyā saaf misra.a ek se chaspāñ hai dūsrā
bole vo apnī shakl ko aap aa.ine meñ dekh
dariyā ke paar aur gulistāñ hai dūsrā
bejā nahīñ gar us kā falak par dimāġh ho
yaaro zamīñ pe vo mah-e-tābāñ hai dūsrā
'mārūf' kis kā yaañ se nikalne ko jī kare
dehlī ajab jagah hai paristāñ hai dūsrā
chalne mein saya ham-qad-e-jaanan hai dusra
kya saf misra ek se chaspan hai dusra
bole wo apni shakl ko aap aaine mein dekh
dariya ke par aur gulistan hai dusra
beja nahin gar us ka falak par dimagh ho
yaro zamin pe wo mah-e-taban hai dusra
'maruf' kis ka yan se nikalne ko ji kare
dehli ajab jagah hai paristan hai dusra
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.