chalo abhi pas-e-diwar dekh lete hain
chalo abhī pas-e-dīvār dekh lete haiñ
jahān-e-ḳhāk ke us paar dekh lete haiñ
sahar ke hote hī raḳht-e-safar jo bāñdhte haiñ
charāġh-e-sub.h ke āsār dekh lete haiñ
ham apnī raah se jūñhī bhaTakne lagte haiñ
to phir buzurgoñ kī dastār dekh lete haiñ
tumhārī aañkh ke pīchhe jo sab manāzir haiñ
tumheñ ḳhabar nahīñ ham yaar dekh lete haiñ
rafāqatoñ meñ baḌe maan rakhe jaate haiñ
so dostoñ ko ka.ī baar dekh lete haiñ
ka.ī baras se zamāne ke saath haiñ 'amabar'
ham ab zamāne kī raftār dekh lete haiñ
chalo abhi pas-e-diwar dekh lete hain
jahan-e-KHak ke us par dekh lete hain
sahar ke hote hi raKHt-e-safar jo bandhte hain
charagh-e-subh ke aasar dekh lete hain
hum apni rah se junhi bhaTakne lagte hain
to phir buzurgon ki dastar dekh lete hain
tumhaari aankh ke pichhe jo sab manazir hain
tumhein KHabar nahin hum yar dekh lete hain
rafaqaton mein baDe man rakhe jate hain
so doston ko kai bar dekh lete hain
kai baras se zamane ke sath hain 'amabar'
hum ab zamane ki raftar dekh lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.