chalo ki zaKHm kureden KHayal kaisa hai
chalo ki zaḳhm kuredeñ ḳhayāl kaisā hai
phir apne aap se pūchheñ ki haal kaisā hai
satā.eñ itnā ki ik din palaT ke vaar kare
phir is ke ba.ad sazā deñ ye jaal kaisā hai
tumhāre tarz-e-adl kā koī javāb nahīñ
magar jo paidā huā hai savāl kaisā hai
lagāo peḌ to saa.e kī aarzū na rakho
milegī chhāñv kisī ko malāl kaisā hai
tumhāre sach ke ḳharīdār aur bahut hoñge
'sabā' hameñ to ḳhabar hai ki maal kaisā hai
chalo ki zaKHm kureden KHayal kaisa hai
phir apne aap se puchhen ki haal kaisa hai
sataen itna ki ek din palaT ke war kare
phir is ke baad saza den ye jal kaisa hai
tumhaare tarz-e-adl ka koi jawab nahin
magar jo paida hua hai sawal kaisa hai
lagao peD to sae ki aarzu na rakho
milegi chhanw kisi ko malal kaisa hai
tumhaare sach ke KHaridar aur bahut honge
'saba' hamein to KHabar hai ki mal kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.