chalo mana ki phurtile nahin the
chalo maanā ki phurtīle nahīñ the
magar itne bhī ham Dhīle nahīñ the
ḳhayāloñ meñ sajā lete the un ko
hamāre shauq ḳharchīle nahīñ the
maza manzil ko pā kar bhī na aayā
safar meñ ret ke Tiile nahīñ the
havelī meñ sabhī rahte the mil kar
tab itne rishte zahrīle nahīñ the
kabhī aate the ḳhat un ke bhī 'kalkal'
vo pahle itne sharmīle nahīñ the
chalo mana ki phurtile nahin the
magar itne bhi hum Dhile nahin the
KHayalon mein saja lete the un ko
hamare shauq KHarchile nahin the
maza manzil ko pa kar bhi na aaya
safar mein ret ke Tile nahin the
haweli mein sabhi rahte the mil kar
tab itne rishte zahrile nahin the
kabhi aate the KHat un ke bhi 'kalkal'
wo pahle itne sharmile nahin the
- Book : Munderon Per Charagh (Pg. 101)
- Author : Rajender Kalkal
- Publication : Amrit Parkashan, Delhi (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.