chalo na sath hi chalte hain hum donon kinare tak
chalo nā saath hī chalte haiñ ham donoñ kināre tak
zarā mere sahāre tak zarā tere sahāre tak
vafā donoñ meñ shāmil hai ham āḳhir tak nibhā.eñge
mire allah pukāre tak tire allah pukāre tak
zamīn-e-'ishq par ham ne na.ī duniyā basā.ī thī
aur ik rasta banāyā thā jo thā mere tumhāre tak
mujhe kyoñ chhoḌ jaate ho ye dil kyoñ toḌ jaate ho
maiñ kuchh bhī to nahīñ hamdam magar tere sahāre tak
chalo na sath hi chalte hain hum donon kinare tak
zara mere sahaare tak zara tere sahaare tak
wafa donon mein shamil hai hum aaKHir tak nibhaenge
mere allah pukare tak tere allah pukare tak
zamin-e-'ishq par hum ne nai duniya basai thi
aur ek rasta banaya tha jo tha mere tumhaare tak
mujhe kyon chhoD jate ho ye dil kyon toD jate ho
main kuchh bhi to nahin hamdam magar tere sahaare tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.