chalte hue ek roz Thahar jaenge hum bhi
chalte hue ik roz Thahar jā.eñge ham bhī
dariyā haiñ samundar meñ utar jā.eñge ham bhī
ab baiTh ke zaḳhmoñ se lahū poñchh rahā hai
pahle to vo samjhā thā ki Dar jā.eñge ham bhī
ye kyā ki har ilzām hamāre hī sar aa.e
ā.īna bano tum to sañvar jā.eñge ham bhī
toḌeñge nahīñ apne qabīle kī rivāyat
hañste hue maqtal se guzar jā.eñge ham bhī
bhātī hai hameñ bhī dar-o-dīvār kī ḳhushbū
kuchh ḳhvāb kamā leñge to ghar jā.eñge ham bhī
iḳhlās ke rishte ne hameñ bāñdh rakhā hai
dushman ye samajhtā thā bikhar jā.eñge ham bhī
sharminda huā ghar meñ vo kuchh der lagā kar
samjhā thā sadā de ke guzar jā.eñge ham bhī
chalte hue ek roz Thahar jaenge hum bhi
dariya hain samundar mein utar jaenge hum bhi
ab baiTh ke zaKHmon se lahu ponchh raha hai
pahle to wo samjha tha ki Dar jaenge hum bhi
ye kya ki har ilzam hamare hi sar aae
aaina bano tum to sanwar jaenge hum bhi
toDenge nahin apne qabile ki riwayat
hanste hue maqtal se guzar jaenge hum bhi
bhati hai hamein bhi dar-o-diwar ki KHushbu
kuchh KHwab kama lenge to ghar jaenge hum bhi
iKHlas ke rishte ne hamein bandh rakha hai
dushman ye samajhta tha bikhar jaenge hum bhi
sharminda hua ghar mein wo kuchh der laga kar
samjha tha sada de ke guzar jaenge hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.