chalte hue jo dekhe DanDe teri gali mein
chalte hue jo dekhe DanDe tirī galī meñ
sab paḌ ga.e haiñ aa kar ThanDe tirī galī meñ
terā dar-e-mohabbat kyā ban gayā hai tīrath
mullā tirī galī meñ panDe tirī galī meñ
ek raat dekh lenā elān-e-jang hogā
gaaḌe haiñ āshiqoñ ne jhanDe tirī galī meñ
tevar batā rahe haiñ kuchh din se āshiqoñ ke
dangal zarūr hogā one day tirī galī meñ
armān-o-ārzū kī holī bhī ab jalegī
lā kar to rakh diye haiñ kanDe tirī galī meñ
tujh ko nahīñ ḳhabar jab taftīsh kī police ne
ek rail bhar ke nikle ġhunDe tirī galī meñ
pahra lagā huā hai chhe saal se police kā
kis chiiz ke gaḌe haiñ hanDe tirī galī meñ
mela lagā huā hai bīmār āshiqoñ kā
din raat ho rahe haiñ ġhanDe tirī galī meñ
har chiiz mere ghar kī āshiq huī hai tujh par
detī hai merī murġhī anDe tirī galī meñ
lagtā nahīñ hai jī ab jānāñ kisī galī meñ
sunday tirī galī meñ monday tirī galī meñ
bārātiyoñ meñ le kar pañdrah hazār shā.ir
aa.egā 'be-takalluf' one day tirī galī meñ
chalte hue jo dekhe DanDe teri gali mein
sab paD gae hain aa kar ThanDe teri gali mein
tera dar-e-mohabbat kya ban gaya hai tirath
mulla teri gali mein panDe teri gali mein
ek raat dekh lena elan-e-jang hoga
gaDe hain aashiqon ne jhanDe teri gali mein
tewar bata rahe hain kuchh din se aashiqon ke
dangal zarur hoga one day teri gali mein
arman-o-arzu ki holi bhi ab jalegi
la kar to rakh diye hain kanDe teri gali mein
tujh ko nahin KHabar jab taftish ki police ne
ek rail bhar ke nikle ghunDe teri gali mein
pahra laga hua hai chhe sal se police ka
kis chiz ke gaDe hain hanDe teri gali mein
mela laga hua hai bimar aashiqon ka
din raat ho rahe hain ghanDe teri gali mein
har chiz mere ghar ki aashiq hui hai tujh par
deti hai meri murghi anDe teri gali mein
lagta nahin hai ji ab jaanan kisi gali mein
sunday teri gali mein monday teri gali mein
baraatiyon mein le kar pandrah hazar shair
aaega 'be-takalluf' one day teri gali mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.